Gustakhiya- Pyaar Ki Kuch Yaadein

profile
Shubham Singla
Jun 11, 2019   •  23 views

Bahut hassi aati h khud par

Yeh soch kar ki

Jisse main pyaar smjh raha tha vo

Asal mein akelapan tha

Tere jane k baad khud ko smbhalna

Ek chunauti sa ban gaya tha

Uss chunauti ki aad mein

Tera aana ek umeed de gaya

Vo khali space ab bharne laga aur

Muhjko vahi pyaar lagne lga

Haad toh tab ho gayi

Jab tum bhi uski tarah

Muhjse dil lga baithi aur

Mere sath shadi k sapne sja baithi

Mein fir se jeena sikh hi raha tha ki

Tere sath hone se vo sab yaadein taaza hone lagi

Kuch galtiyan kuch gustakhiyan yaad aane lagi

Isse pehle main kuch keh pata

Tujh ko kuch smjha pata

Tune apne ishq ka izhaar kar diya

Ikrar karte karte maine bhi izhaar kar diya

Par tuhje paglon ki tarah chahta dekh kar

Khud ko rok na saka

Bta diya sab kuch

Purani ex ki kahani

Apne aansuon ki jubani

Par tum bhi kahan kum thi

Unn aansuon ki kah rahi kasam thi

Ki ab nhi hone dungi vahi

Kyuki main oron jaisi nahi

Teri inn baaton se pyaar kar baitha

Aur ek baar phir

Dil toodvane ko tyaar ho baitha

Yeh silsila toh umar bhar chalta rhega

Dil hi toh hai

Kabhi tootega kabhi judta rahega

Aur tum mujhse nafrat karti reh na

Or mai tumahre pichee ghumta rahunga

Tum mujhe apne joothe zeher me fuslate rehna

Or mai usse pyaar samjhkar tumko apna manta rahunga

Na jaane kaise main smjhaun

Apne dil ki daastan tuhje batlaun

Ki mai tujhe chahta hu

Par tum mujhe ku thukrati ho

Waah re !Maan gaye tuhje aee zindgi

Kuch sikhane ki chaah mein

Dard se milvati hai

Waah re! Zindgi tu har mod par aajmati hai

Jahan pyar bhre doston se milvati hai

wahin dil todne wale logon se vasta krvati hai

Waah re! Zindgi tu kya kya krati hai

Par tu jaisi hai waise hi rh

Mai tujhe khona nahi chahta

Aur insaan hai apni fitrat badalta rahega.

1



  1