22 Bollywood Songs That Are Based On "Zindagi"

profile
Niyati Jaiswal
Jun 04, 2020   •  39472 views

Its been more than 100 years of Indian Cinema and even more than that of Bollywood Songs, Indian lyricists are always been inspired by the great Philosophy of "Zindagi". It seems that they are obsessed with this word and finds an eternal novel meaning  beneath this word each time they insert into an emotional song, not only the old songs but it's also preferred by the young lyricists of bollywood. But indeed it does have a great impact on Indian listeners and also some of these songs have some great philosophical ideas on how life is or how to live life.
So, here is the list of the Songs that are based on "Zindagi"  and their initial lyrics ...

1. Zindagi kaisi ye paheli

Zindagi Kaisi hai paheli, haae Kabhi to hasaaye Kabhi ye rulaaye Zindagi Kabhi dekho man nahi jaage Pichhe pichhe sapano ke bhaage Ek din sapano kaa raahi Chalaa jaae sapano ke aage kahaan Zindagi

Singer- Manna Dey
Music Composer -  Salil Chowdhary
Writer - Yogesh, Salil Chowdhary
Film - Anand

2. Ae zindagi gale lagale

Ae Zindagi Gale Laga Le Ae Zindagi Gale Laga Le Hum Ne Bhi Tere Har Ik Gam Ko Gale Se Lagaya Hai Hai Na Ae Zindagi Gale Laga Le Ae Zindagi

Hum Ne Bahane Se Chhup Ke Jamane Se Palkon Ke Parde Main Ghar Bhar Liya Hum Ne Bahane Se Chhup Ke Jamane Se Palkon Ke Parde Main Ghar Bhar Liya Tera Sahara Mil Gaya Hai Zindagi La La Lala La La Lala La La La Tera Sahara Mil Gaya Hai Zindagi

Singer - Suresh Wadkar
Composer - Ilaiyaraaja
Writer -  Gulzar
Film - Sadma


3. Love you zindagi

Jo dil se lage
Usse keh do hi, hi, hi, hi

Jo dil na lage
Usse keh do bye, bye, bye, bye

Aane do, aane do
Dil mein aa jaane do
Kehdo muskurahat ko
Hi, hi, hi, hi

Jaane do, jaane do
Dil se chale jaane do
Keh do ghabrahat ko
Bye, bye, bye, bye, bye-bye..

Singer - Jasleen Royal
Music Composer - Amit Trivedi
Writer -  Kausar Munir
Film - Dear Zindagi

4. Zindagi ke safar mein

Guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate x (2)

Phool khilte hain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain magar
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
Woh baharon ke aane se khilte nahi
Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaron ke aane se milte nahi...

Singer -  Kishore Kumar
Composer - R D Burman
Writer - Anand Bakshi
Film - Aapki Kasam

5. Zindagi ka safar

Zindagi Ka Safar,

Hai Ye Kaisa Safar

Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin,

Hai Ye Kaisi Dagar Chalte Hain Sab Magar Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin ...

Singer -  Kishore Kumar
Composer - Kalyanaji Anandji
Writer - Indeevar
Film - Safar

6. Zindagi pyar ka geet hai

(Zindagi pyaar ka geet hai
Ise har dil ko gaana padega) -2
Zindagi ghum ka sagar bhi hai
Hanske us paar jaana padega

Jis ka jitna ho aanchal yahaan par
Us ko saugaat utni milegi
La la la, la la la, la la la la la la la
Jis ka jitna ho aanchal yahaan par
Us ko saugaat utni milegi
Phool jeevan mein gar na khile to
Kaanton se bhi nibhaana padega
Zindagi pyaar ka geet hai
Ise har dil ko gaana padega...

Singer -  Lata Mangeshkar
Composer - Usha Khanna
Writer - Saawan Kumar Tak
Film - Zindagi Pyar ka geet

7. Zindagi har kadam Ek nayi jung hai

jeet jaayenge hum too agar sang hain

zindagi har katam ek naee jang hain

zindagi har katam ek naee jang hain

jeet jaayenge hum

jeet jaayenge hum too agar sang hain

zindagi har katam ek naee jang hain

zindagi har katam ek naee jang hain...

Singer -  Lata Mangeshkar, Nitin Mukesh
Composer - Lakshmikant Pyarelal
Writer - Anand Bakshi
Film - Meri Jung

8. Ye zindagi ke mele

Yeh jindagee ke mele - (2)
Duniya me kam naa honge, afasos ham naa honge
Yeh jindagee ke mele - (2)
Duniya hai mauj-e-dariya, katre kee jindagee kya - (2)…

Singer -  Mohammed Rafi
Composer - Naushad
Writer - Shakeel Badayuni/ Naushad
Film - Mela

9. Yun zindagi ki raah mein

Kyon zindagi ki raah mein, majabur ho gaye
Kyon zindagi ki raah mein, majabur ho gaye
Itane huye karib ke ham dur ho gaye
Kyon zindagi ki raah mein, majabur ho gaye
Itane huye karib ke ham dur ho gaye
Kyon zindagi ki raah mein, majabur ho gaye...

Singer -  Chitra Singh
Music Composer - Kuldeep Singh
Writer - Javed Akhtar/ Kuldeep Singh
Film - Sath Sath

10. Ye zindagi hai ek juaa

Ikke ko badsha ne mara
Badsha jo begam se hara
Aur gulam qismat ka mara bechara
Ye zindagi hai ek jua kabhi
Jit bhi kabhi har bhi yahan
Dushmano ki bhid me ja mil
Jayenge tujhe yar bhi
Tu khelta ja khelta ja
Baziyo pe baziya tu
Khelta ja khelta ja...

Singer - Asha Bhosle
Music Director - Bapoo Lehri
Writer - Prakash Mehra
Film - Zindagi Ek Juaa

11. Mai zindagi ka saath nibhata chala

Main zindagi ka sath nibhata chala gaya
Har fikra ko dhuyein mein udata chala gaya
Har fikra ko dhuyein mein uda
Barbadiyon ka sog manana fizool tha
Barbadiyon ka sog manana fizool tha
Manana fizool tha, manana fizool tha
Barbadiyon ka jashn manata chala gaya
Barbadiyon ka jashn manata chala gaya
Har fikra ko dhuyein mein uda...

Singer - Mohammed Rafi
Music Director - Jaidev
Writer - Sahir Ludhianvi
Film - Hum Dono

12. Tujhse naraz nhi zindagi

Aa aa aa aa
Tujse naraz nahi zindgi heran hu me
Oooo heran hu me
Tere masoom sawalo se pareshan hu me
Oooo pareshan hu me
Jine k liye socha hi nahi Dard sambhalne honge
Muskuraye to muskurane k karz utarne honge
Jine k liye soch hi nahi Dard sambhalne honge
Muskuraye to muskurane k karz utarne honge
Muskurau kabhi to lgta he
Jese hothon pe karz rakha he...

Singer - Lata Mangeshkar
Writer - RD Burman/ Gulzar
Music Director - RD Burman
Film - Masoom

13. Zindagi ek safar hai suhana

(Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana) (x2)
Arey o leiyo leiyo, oleiyo leiyo
Oleiyo leiyo, oleiyo leiyo
Oleiyo leiyo, oleiyo leiyo
(Chand taaron se chalna hai aage
Asmaanon se badna hai aage) -(x2)
Pichhe reh jayega yeh zamana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana...

Singer - Kishore Kumar
Music Director - Shankar Jaikishan
Writer - Hasrat Jaipuri
Movie - Andaz

14. Aajkal zindagi - wake up sid

Aaj kal zindagi
Mujhse hai keh rahi
Tu jo meri maane toh chal deewane
Sapnon ki rahoon mein tu
Saari khusboon ko
Saari roshni ko le le in bahoon mein tu

Ab hai tu jahaan
Din raat saare naye hai
Arzoo jawaan
Jazbaat saare naye hai
Naye rastein hai tere vaaste
Toh rahe kyun panahoon mein tu...

Singer - Shankar Mahadevan
Music Director - Shanker, Ehsaan, Loy
Writer - Javed Akhtar
Film - Wake Up Sid

15. Zindagi kuch to bta zindagi

Ek Din Mohabbat Odh Kar
Ek Din Gali Ke Mod Par
Teri Hatheli Par
Likhun Mera Naam Tere Naam Par
Phir Tu Taqalluf Chhod Kar
Phir Tu Jhuka Kar Ke Nazar
Rakhna Mere Kaandhe Pe Sar
Zindagi...

Kuch To Bata Zindagi
Apna Pataa Zindagi..
Kuch Toh Bataa Zindagi
Apna Pataa Zindagi..


Singer - Jubin Nautiyal
Music Director - Pritam
Writer - Neelesh Misra
Film - Bajrangi Bhaijan

16. Zindagi ne zindagi bhar ghum diye

Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye

Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye) - 3

(Jab Tadapata Hai Kabhi Apana Koi
Khun Ke Aansu Rula De Bebasi) - 2
Ji Ke Phir Karana Kya Mujhko Aisi Jindagi - 2
Jisane Jakhmon Ko Nahi Marham Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye
Jitane Bhi Mausam Diye Sab Num Diye
Jindagi Ne Jindagibhar Ghum Diye...

Singer - Mithoon
Music Director - Mithoon
Writer - Sayeed Quadri
Film - The Train

17. Sooraj ki baahon mein ab hai ye zindagi

Sooraj Ki Baahon Mein, Ab Hai Yeh Zindagi
Kirnay Hain Saanson Mein, Baaton Mein Roshni
Sooraj Ki Baahon Mein, Ab Hai Yeh Zindagi
Kirnay Hain Saanson Mein, Baaton Mein Roshni

Jo Bhi Badali Dil Ki Taal Hai, Aha
Yu Hi Aaya Ik Khayal Hai, Aha
Paate Hum Hai Zindagi Ik Baar
Kyun Na Kare Khulke Hum Isko Pyaar
Jaane Kiska Hai Hume Intezar
Ke Zindagi Yehi Hai Aur Yehhi...

Singer(s) - Dominique Cerejo, Clinton Cerejo, Loy Mendonca
Music Director - Shankar-Ehsaan-Loy
Writer - Javed Akhtar
Film - Zindagi Milegi Na Dobara


18. Main yaha tu wahan zindagi hai kaha

Main Yahan Tu Wahan, Jindagi Hai Kahan
Main Yahan Tu Wahan, Jindagi Hai Kahan
Main Yahan Tu Wahan, Jindagi Hai Kahan

Tu Hi Tu Hai Sanam Dekhta Hoon Jahan
Neend Aati Nahi Yaad Jaati Nahi
Neend Aati Nahi Yaad Jaati Nahi
Bin Tere Abb Jiya Jaaye Naa

Main Yahan Tu Wahan, Jindagi Hai Kahan

Singer - Alka Yagnik and Amitabh Bachchan
Music Director - Aadesh Shrivastava
Writer - Sameer
Film - Baghban

19. Tum Jo Aaye Zindagi mein Baat ban gayi

paaya maine paya tumhe,
rab ne milaya tumhe hontho pe sajaya tumhe,
nagme sa gaaya tumhe paaya maine paya tumhe,
sab se chhupaya tumhe sapna banaya tumhe,
neendo me bulaya tumhe,
tum jo aaye zindagi me baat ban gayi, ishq mazhab ishq meri zaat ban gayi...

Singer - Rahat Fateh Ali Khan, Tulsi Kumar
Music Director - Pritam Chakraborty
Writer - Irshad Kamil
Film - Once Upon A Time In Mumbai

20. Zindagi to bewafa hai

zindagi to bewafa hai ek din thukrayegi
zindagi to bewafa hai ek din thukrayegi
maut mehbooba hai
maut mehbooba hai apne saath lekar jayegi
mar ke jeene ki ada jo duniya ko sikhlayega
wo muqaddar ka sikandar
wo muqaddar ka sikandar janeman...

Singer - Mohammed Rafi
Music Director - Kalyanji Anandji
Writer - Anjaan
Film - Mukaddar ka Sikandar

21. Zindagi ban gaye ho tum

Jo Meri Rooh Ko Chain De Pyaar De
Woh Khushi Bangaye Ho Tum
Zindagi Ban gaye Ho Tum
Zindagi Ban gaye Ho Tum
Jo Meri Rooh Ko Chain De Pyaar De
Woh Khushi Ban gaye Ho Tum
Zindagi Ban gaye Ho Tum
Zindagi Ban gaye Ho Tum

Singer - Alka Yagnik
Music Director - Nadeem Shravan / Surinder Rattan
Writer - Sameer
Film - Kasoor

22. Zindagi milke bitaenge

Zindagi mil ke bitayenge, Haale dil gaa ke sunaayenge,
Hum tho saat rang hai Yeh jahan rangeen banayenge
Zindagi mil ke bitayenge
Haale dil gaa ke sunaayenge
Hum tho saat rang hai
Yeh jahan rangeen banayenge
Sargam hum se bane Nagme hum se jawan...

Singer - Kishore Kumar
Music Director - RD Burman
Writer - Gulshan Bawra
Film - Satte Pe Satta



1



  1