Kitna ajeeb silla diya tune
Meri mohabbat ka
Bevajah shak kar liya aur maan liya mujhe kisi or ka
Maana ki main sara din phone mein busy rahta hun
Sara din online rah kar bhi message nahi kar pata hun
Kabhi muhj ko smjha toh hota tune ki
Phone mein whatsapp, facebook, instagram ke alawa bhi kuchh hai
Phone akela mera nahi mere gharwalon ka bhi hai
Mein phone mein lga rhta hun par
Iska yeh matlab nahi ki
Main teri nazron mein dhokhebaaj kehlaun
Mere bhi kuch usool hain
Sacha pyar kiya hai tujhse janeman
Isse shak par todna fizool hai
Kya pyar karna galti thi meri
Tuhjse dil lgana kya khudgarzi thi meri
Shayad bhul gayi hai tu
Har baar roka tha tuhje
Mera na hone ke liye kitni baar tokka tha tuhje
Par chal thik hai
Thik hai
Main bevafa hi sahi
Wafa karne wale ko tune smjha hi nhi kabhi
Pyaar ke mayne tu khud na samajh saki
Bevafa keh kar mujh ko hi tod diya
Shayad pyaar krna bhul thi meri
Girgit ki tarah rang badal legi tu bhi
Yeh socha na tha kabhi
Par yeh bhi sachh hai ki
Nhi karti main tuhse pyar,nhi karti .
Par iska yeh matlb nhi ki
Nhi hai tuhj par aitbaar mujhe
Pyar hi nhi hota dvaa har marz ka
Teri baaton mein khoo jati hun toh kya
Tere baalon ko pyaar se sehlati hun toh kya
Mere dikhne pe tuhje hassi ki vjah de jati hun toh kya
Mubarak ho tujh ko tera shak karna
Fark toh tujh ko hi padega
Tune pyaar ko nasha nahi zehar banke dikahaya hai
Or ab tere us zehar se mujhe ulti aati hai
Maan liya tune apni sharbat jaisi boli se Zehar ugla hai
Par ab nahi chye vo pyaar ki dastur
Tune jo kiya vo sahi hai
Ab chali jaa door mujhse tu
Mere naseeb me na thi tu
Tu thi hi kisi or ki
Tune ek sachhe Aashiq ko jo koh diya
Ab kar kisi or se wafa ki umeed
Milegi nahi tuhje kabhi jb hoga tera naseeb