Kitni ajeeb si baat hai

Tera na hona bhi itna khaas hai

Shayad ab mere paas nhi ho tum

Par dil ke inn panno mein aaj bhi jinda ho

Vo school mein ek dusre ko maar ke bhagna

Bhagte-bhagte vo khilkhila kar hasna

Mujhe aaj bhi yaad hai.

Us samay shayad ek bhi tasveer na li humne school dress mein

Par vo school ki shirt aaj bhi meri almari mein tangi hai

Iss umeed mein ki fir se usse dalne ka mauka milega

Aur ek photo uss mein bhi utregi

Maana vo mumkin toh nahin

Par ek aas baki hai

Tumse milne ki pyaas baki hai

Tumhari aadhi vo baat baaki hai

Tumhe na khone ki

Dil ke aass pass hone ki

Man krta hai tumhe yaad karta rhu

Or unhi lamho me kho jaau

Vaada toh kiya tha ki fir milenge

Par shayad vo vaada sirf vaada hi rah gaya

Aur aage badhte-badhte tum muhjko bhul gaye

Maana maine milna itna aasaan toh nhi par

Yeh kisne kaha ki message karne ka bhi time nhi

Kuch is andaaz se woh nazarandaaz karte hain...
Unka yeh andaaz bhi bohot khub lagta hain.

Bhari mehfil main unhone humein ajnabee bana diya...
Humne bhi wahi gazal gayi jisne alfaaz unse liye the

Or vo apne pooran din aaj bhi yaad aate hain

jab hum sab milkar vo mitti ka quila bnaya karte the

Par ab kaha, ab to sab alag ho gya hai

Na hi tum sab milte ho

or na hi mai aata hu

Dukh toh bahut hota hai

Tum sab apni baaton se palat gaye

Mere dikhne pe tuhje hassi ki vjah de jati hun toh kya

Pyaar nhi karti main tuhjse

Yeh baat btati nhi toh kya

Chhod de mere peeche bhagna

Varna khud ko bhul jaega

Khud ka ho kar bhi

Khud se dur ho jaega

Par chal koi na

chal koi na

Yeh karz udhar hi rahega

Aur tu mera karzdar hi rhega

Jis din tum sab smjhoge

Vaqt humko smjh chukka hoga

Aur mein bhut dur jaa chuka hoga.

3



  3

Profile of Shubham Singla
Shubham Singla  •  5y  •  Reply
Thanks kaustubh !
Profile of Kaustubh Gupta
Kaustubh Gupta  •  5y  •  Reply
Nice 🙂