Ye unn dino ki baat hai, jab tumhara number, naam se nahi, "Jaan" saved tha..

Ye unn dino ki baat hai, jab thand main, tum apna thanda naak, mere garam gaal se laga kar so jaaya karti thi. Ye unn dino ki baat hai, jab hum ek the..

Ab hum ek nahi hai. Tumhari shaadi ho gayi hai aur main apne kaam dhande main phasa pada hu..

Tumse toh ab baat kiye bhi lagta hai 5 se 7 saal ho gaye hai. Tumhe ab bhi bhula nahi hu main par kya kare? Wo kehte hai na, dil jab pehli baar lagta hai toh wo zindagi bhar uska dard rehta hai..

I pray to God ki tum zindagi bhar khush raho, tumhe kisi bhi taklif, kisi bhi uljhan ka saamna na karna pade..

In the end ek chiz bolunga, I still love you..but ab uss pyaar ka koi fayda nahi..

2



  2