“Ye gham kya dil ki aadat hai? Nahi to… Kisi se koi shikayat hai? Nahi to…” (Jaun Eliya)

Par ye gham hai dil ki aadat. Aur haan, shikayat hai, maano puri duniya se.

Ye duniya itni kamzarf kyun hai: khoobsurat hai bohot par berehem kyun hai. Itni badi hai ki mai soch na pau…phir bhi itni chhotti ki meri soch iske liye badi hai. Hazaaron log, hazaaron khwaishein, aur ek khwaish ye bhi ki ye duniya meri kyun nahi hai.

Log ek dusre se milte kyun nahi, milte hai to judte kyun nahi. Pass aate hai paani ko chhu kar chale jaate hai, kabhi inn lehron mei bheegte kyun nahi. Darr lagta hai shayad…par kisse, dusron se? Nahi to. Phir kya khud se? Ye puchha to mud ke dekhte nahi hai, bas kahin aur mud jaate hai.

Lafzon ki keemat kaun maapta hai, sach se jhooth ko kaun aankta hai…Zubaan par chashni hai par dil mei khataas, ye zaike badalne ka hunar kahan se aata hai. Laakh chaaha par samajh na aaya, ye duniyadaari ka kalam kaise pakda jaata hai. Pakad bhi liya to ungliyan thar-tharane lagi, jo rishta kabhi tha hi nahi use kaise nibhaaya jaata hai?

Kis par bharosa kare, kis ko apna kehte hai? Jab har taraf dhuan hi dhuan hai, kis hawa ke jhonke ko rahat kehte hai. Sab se rooth kar munh pher lete hai, jab mera koi hai nahi, to dard kis ke liye sehte hai? Jise ham apna samjhte hai, wo agar paraye manzar par mile to usse kya kehte hai?

Ye jo dil hai, iska gham se aisa kya naata hai ki khushi isse zyada der gawara nahi. Baat- bebaat rooth jaata hai, koi baat na ho to roothne ke bahaane dhoondta hai. Khushiyaan aangan mei mehekne aati hai, ye roshni se darr saayon mei chhup jaata hai. Shayad gham khushi ki tarah bewafa nahi hai. Gham hai to hai, ye kisi ka mohtaaj nahi. Isse khone ke darr nahi rehta, iska intezaar nahi karna padta. Gham hai to hai. Gulaab to bahaaron ke musaafir hai, kabhi kaanton ne kisi ka dil toda hai?

Dil toot jaata hai to sambhalta kyun nahi hai? Sambhal jaata hai to phir se jud kyun nahi jaata , waise hi jaise pehle tha. Isse chaahat chaaht ki hai par ye dukhon se wafa laga kar baitha hai! Jab khud hi judna nahi chahta phir kyun duniya se gila karta hai? Khud saayon se nikalna nahi chahta, logon ke na milne par ro jaata hai. Lafzon ka parda hata kar nahi dekhta, khud khaamoshiyon mei samjha jaana chahta hai.

Phir puchhti hu Eliya ki tarah, ‘ye gham kya dil ki aadat hai?’; munh pher kar kehta ‘nahi to’.

‘kisi se koi shikaayat hai?’ khamoshi…aur phir do lafz ‘nahi to’…..

18



  18

Profile of Sukeerat Kaur Channi
Sukeerat Kaur Channi  •  4y  •  Reply
OK Umang
Profile of Ud
Ud  •  4y  •  Reply
Nice one.... Please check out my articles too😊
Profile of Sukeerat Kaur Channi
Sukeerat Kaur Channi  •  4y  •  Reply
I will Niyati
Profile of Sukeerat Kaur Channi
Sukeerat Kaur Channi  •  4y  •  Reply
Thank you Khushi
Profile of Niyati Jaiswal
Niyati Jaiswal  •  4y  •  Reply
Please do check my work
Profile of Khushi B
Khushi B  •  4y  •  Reply
Bahot acha!