Ek sawaal poochna chahata Hoon main.
Kya agar tumhe mauka mile will u do a job which is 365 days a year, with no holidays, no half days, and festivals pe double kaam?

Agar tabyat bhi kharaab ho toh no chutti
and most importantly without any pay??
Nhi na lekin ek insaan hai Jo yeh sab karti hai,
MAA !!
Roz subha jaldi uthke school bhejne se leke raat ko jab khaana kha loon tab tak thakti nhi
Chahe uski tabyat kyun na kharaab ho par kabhi kaam se bhaagti nhi
Patani kaunsi Shakti hai usme har Roz yeh karleti hai Bina thake aur poora time chehre pe muskaan rakhe

Ab main jo bada hogaya Hoon bhool Gaya Hoon uske saare balidaan
Bas yaad rehta hai doston ke saath ghoomna , party karna aur kuch nhi
Kabhi kabhi ladai bhi ho jaati hai usse
Par jab bhi ladoon ya oonchi awaaaz mein baat karoon usseo toh bahut bura lagte hai mujhe
Aur usko bhi lagta hoga
Par kabhi bolti nhi kuch mujhe Meri Maa
Vo ek peedi purani hai isliye shayad
Uski aur Meri soch kaafi alag hai
Par pyaar phir bhi bahut hai
Ab toh Ghar se door padhne Jo aagaya Hoon kabhi kabhi hi mil pataHoon usse
Par jab bhi miloon bas ek hi sawaal pochti hai aur kaisa hai tu ?? Khana khaya ki nhi ??
Aur chotti si takleef ho mujhe main use bada Chada Kar btata Hoon usse
Lekin usse agar pochoon tu bta tu kaisi hai toh kehti hai theek Hoon phir chahe usse 104 bukhaar hi kyun na ho

Yaad hai mujhe jab bachpan mein meri tabyat kharaab hoti thi saari saari raat jaagti thi vo
Main ek baar khans bhi Doon toh doctor ke pass le jaati thi vo
Lekin khud chahe khaans khaans ke kitni bhi takleef mein ho ek hi cheez kehti thi main theek hoon
Pariksha Meri hoti thi par darrti vo mujhse bhi zyaaada thi
Abhi bhi jab mere exams hote hai koi mandir aisa nhi hoga jahaan vo jaake mere liye Dua na maangti ho

Lekin apni pareshaaniyan kabhi btati nhi hai
Aur Naa jaane kaise Kar leti hai vo yeh jaadu
Binna pooche mere saari pareshaaniyan samajh leti hai vo
Itna pyaar karti hai vo mujhse
Phir bhi main bol nhi paata ki main usse kitna pyaar Karta Hoon
Pyaar toh bahut kiye zindagi mein par
Yeh pyaar Mera sabse pehla pyaar Tha, hai aur rahega
Sochta hoonusse keh Hi Doon
MAA Ilove u
Aur request hai sabhi readers se agar yeh padhke aapko aapki maa ki ya maa jaise koi bhi insaan ki yaad aayi ho, toh please usse abhi issi waqt btaiye ke aap unhe kitna pyaar karte Hain.

Kyunki aapka ek phone ya message unka din Bana dega.

6



  6

Profile of Rakshita Upadhyay
Rakshita Upadhyay  •  4y  •  Reply
you wrote well.keep it up.please check my profile too
Profile of Rupal Chauhan
Rupal Chauhan  •  4y  •  Reply
Great! Have a look at my articles too!
Profile of :)
:)  •  4y  •  Reply
सही कहा आपने। अच्छा लिखा हैं। मेरे भी articles पढ़िए।