Competition is the most used word nowadays
Chahe vo chota baccha ho ya ho koi Buddha insaan
Har jagah competition hai
Kissi ko acche number laane hai toh kissi ko showoff karna hai
Par phir bhi sab log kehte Hain competition mein mat padho aur apna best Karo
Competition mein hum padhe ya na padhe, par yeh Zindagi ki shuruat bhi competition se hoti hai aur khatam bhi competition pe hoti hai.

Lakhon sperms se ladke bacchpan mein jeete hum aur jabtak jeete rahe tab Tak Zinda rahe hum jis din haar Gaye samjho khuda ko pyaare ho Gaye hum.

Competition har jagah hai Chahe vo auto pakadne mein ho ya college mein number laane mein ho,
Chahe vo mehnga phone kareedne mein ho ya kissi ka Dil jeetne mein ho,
Phir Chahe vo vyapaar ho ya ho padhai,
Competition toh har jagah hai aur usse nazar andaaz nhi Kiya ja sakta.
Mera maana hai competition se bhaagna kayarta hai aur ek bahadur insaan competition se bhaagta nhi hai balki uska saamna karta hai.

Yeh baat bilkul sahi hai ki competition healthy hona chahiye naaki unhealthy, but no competition is never an option.

Kyunki jis din aapke andar se jeetne ki iccha khatam hogayi uss din aap khatam hogaye.

2



  2

Recommended

thumbnail

Maa

Siddhant Jain
Siddhant Jain
61 views
thumbnail

Shayari❤️

Kajol P
Kajol P
63 views
thumbnail

7

Praveen Shankar
Praveen Shankar
650 views
thumbnail

Poem - Food

Praveen Shankar
Praveen Shankar
674 views