First Black Hole Image Kaise Kinche Honge?

profile
Areefa
May 24, 2019   •  3 views

Hello dostoon! Aaj ham brahmaand ke sabse Shakti shaali cheez ke bare mein baat karne vale hai jiski gravity itni powerful hoti hai ki brahmaand ke sabse tez speed se chalne vaali cheez yaani Prakash(light) bhi usse bach nahi saki. Jee haan main baat kar raha hun Black holes ke bare mein.

Teek Albert Einstein ke relativity theory aur Stephen Hawkings ke classification ke baad humne black hole ke tarah tarah ke anumaan lagaana shuru kardiya. Aaj tak black holes hamaari kalpana ka Vishay thee. Adhunik vignaan ke papers se lekhar holywood ke filmoon tak, black holes ke vividh animations banaaye gaye.

Abtak iske hoone ka koi gehra sabooth humaare paas nahi tha lekin 10 April, 2019 ke rooj, in saare prashnoo ka anth huva kyun ki black hole ki pehli real image bahaar aayi hai. Chaloo dostoon toh deri kis baat ki, ham phata phat dekhenge ki yeh kaise sambhav huva.

Bhoutik shastriyoon ne iskeliye humari dharti par Event Horizon Telescope naam ke pure 8 telescopes teams’ ki madat liya. Aap ko patha hai, Event horizon naam bhi black hole ke aas paas moujud uske event horizon se liya gaya hai. Hamare aatoon telescopes ko black hole ka real image ka data mila, vo pura ka pura das lakh giga byte ka tha aur, itne tagde data ko US aur Germany ke lab me milkar render kiya. Aur uska jo final output mila, usey aap is image ke ruup me dekh sakte hai.

Ab mai jo kahraha hun dyaan se suniya. Jaisey mai chounk gaya ye jaankar, aap bhi jaroor chounk jayega. Aap jo screen peh tasveer dekh rahe hai, vo technically black hole ki assly tasveer nahi hai. Jee haan. Black hole sabhi ko apne andar nigal jaate hai. Toh is kaaran light bhi phir reflect ho hi nahi sakta. Darhasal ye tasveer black hole ke aas pass ke event horizon ki yaane ki uske ass pass ke gravitational atmosphere ki hai jahan par bhul kar bhi brahmaand ki koyi bhi vastu jaaye, toh vo vapas phir kabhi nahi aata.

Dostoon iss kaam ko kam se kam 200 vignanikon ke team ne milkar anjaam diya. Jo vipreet halathon mein bhi kaam karte. Sonchiya kitna mushkil raha hoga. Toh unki mahenath ko ak jordaar hands off banta hi hai.

Chalo doostoon aaj ke liye sirf itnahi. Umeed karta hun ki aap ko ye video pasand aaya aur kuch seekhne ko mila. Chaloo iss umeed se signing off. Is video ko like aur gnyaan ko share karo, channel ko subscribe karna mat bulo. Toh signing off alvida.

0



  0