"Zindagi ka vo muhana yaad hai"

Vo kagaz ke tukado se khelna,

Vo Mitti ki Rotiya Belna,

Vo patthar uchhal ker fekna,

Vo Amrud chura-churakar khana yaad hai ..

Zindagi ka vo muhana yaad hai.

.

Vo din-bhar ki uchal-kud,

Vo masti me ki toot-foot.

Vo thelewale ki nakal utarana,

Vo khush hokar jor-jor se chiltana yaad hai.

Zindagi ka vo muhana yaad hai.

.

Vo bachapan ki dosti, Vo takraar,

Vo hardam masti, Vo lalkaar.

Vo pehli barish ki mitt ki khushbu se mahakta aangan,

Vo tar-batar kar dene wala sawan yaad hai,

Zindagi ka vo muhana yaad hai.

.

Vo mumma ki maar, Vo nani ki dulaar.

Vo mama ki daat, Vo homework ka haat,

Vo teacher ka gussa ,

Vo khargosh-kachuye ka kissa yaad hai.

Jindagi ka vo muhana yaad hai.

.

Vo udane ki kwaahish,

Vo har kuch paane ki farmaayish,

Vo har kaam karne ki aazmaish,

Vo sapno ki basti basana yaad hai !

Zindagi ka vo muhana yaad hai.

.

Yaad nahi hai to bas Vo Akelapan, Vo chidchidahaat,

vo Ghabrahat, Vo har baat ka tension,

Sirf Jo ab saath hai.

Zindagi ka vo muhana yaad hai.

.

Yashi 🌺

5



  5