Mujhe Afsos hai

Azeez Rekhta,

Wo zamana bhi ab ek koso door ke mazi ka lagta hai jab mai tumse tumhari hi zubaan mein baatein kia karta tha.

In arso mein ek doosri zubaan mera tawajjo tum par se cheen le gayi.

To aaj mein tumse ye jatane aaya hu ke mujhe afsos hai,

Mujhe afsos hai is baat ka ke shayad kuch zaman baad mein ye tumko likhe gaye alfaaz khud na padh paunga.

Mujhe afsos hai ke mera aur tumhare be shumaar chahne walo ka zehen rafta rafta tum par se hatne laga.

Mujhe afsos hai ke tumhare la-faani mizaaj ke bawajood mujhe tumhare Janaze ki takbeeraat sunayi dene lagi

Firangi zubaan se mera dimaagh is tarah phool utha jaise bearish ke mausam mein darwaze phool jate hain, aur phir wo tumhare liye khul nap aye, mujhe afsos hai

Ke mein tumhe isse acchi tashbeeh den eke qayal tak na bacha, mujhe afsos hai

 

Lekin ek aakhri baat

Afsos zadah se muraad na ummedi bilkul nahi

Gham zadah hu lekin ghamgeen bilkul nahi

0



  0