Laal uski aankhen rehti
Chillam pehela pyaar tha
Bacchan ki vo dekhta filme
Faizal uska naam tha.
Apne aap se bhi jyada usko
Yaar pe bharosa tha
Kya pata dosti me uske
Gaanje se jyada nasha tha.
Tab haath pakadte Mosina boli
kaahe nahi Ii permission
Ab uska gaana sunte hi
Door hoti thi saari frustration.
Maraa tha jab pati aur beta
Vo ho gayi maano ek tooti hui gazal
Fir amma ko gale laga kar bola
"Baap kaa, dada kaa, bhai kaa sabka badla lega re tera Faizal".
Ramadhir ko samne dekh
Faisal ne dekha sher saa nihara ke
Asia toot pada vo uss par
Jesa bhookha sher apne shikaar pe.
Ramadhir ki laash dekh
Muskuraya vo sukoon se
Thanda pad gaya tha kaleja
Ab tak tha jo angaar pe.
Chodna chahta tha vo jungle
Fastaa chala gaya vo jisme
Ankhon se guzari hogi zindagi
Goli lagi thi jab chaati mein.
Ramadhir nahi tha lekin
Bharosa uska dushman tha
Zeher bana di thi zindagi
Saanp kabhi dost toh kabhi bhai tha.
Raha dekh rahi thi biwi
Pet me uske baccha tha
Jab pata chalega usse sab kuch
Kya vo bhi sir mundvay ga ?