Teri Diwanagi Se mujhe pyar hai,
To teri Awaragi Se bhi mujhe pyar hai.
Teri Saadagi se mujhe pyar hai,
To teri Pechidagi se bhi mujhe pyar hai.

Tere Bachpane se mujhe pyar hai,
To teri Sanjidagi se bhi mujhe pyar hai.
Teri Laparwahi se mujhe pyar hai,
To teri Chanchalta par bhi Aitbaar hai.

Haa,
Pyar hai mujhe teri har us Ada se, Jis par chadha tera Rang Beshumar hai,
Haa,
Pyar hai mujhe mausam ki Un badalti fizaao se, Jiske aagosh me ate hi badal jata tumhara Vyavahar hai.

Titliyo ko pakadne se lekar, Us Kaagaz ki Naav tak,

Bundo se Pahad banane se lekar, Tere thirakte hue Paav tak,
Tere jhumate Hue man se lekar, Teri Chunar ki Chhav tak,
Tere Mujhe girane ko kiye Gaye har ek Sambhav Daav tak,
Teri Dil ki Zameen ka jaise milna hua mere Hridya ke Gaav tak.
Ha Pyaar hai mujhe,

Ha Pyaar hai mujhe....Tere har Andaaz se,
Hamari Kadawahato ko Chhipati Hui , Hamare hi Rishto ki Mithas se,
Hamari Har teekhi nok-jhok ke baad tere Suljhate hue Alfaaz se,
Ha Pyar hai Mujhe..
Tere Gamo ko Dhakne ke liye, hone wale Un Khushiyo ke Agaaz se,
Tere Aansuo ko Chhipane ke liye hone wali Us Muskan Jaisi Saaz se,
Teri Har Beparwahi ke Baad Tere chehre par Dikhne wali Parwah se.
Ha Pyar hai mujhe..
Ha Pyar hai mujhe Lagbhag Tere har ek Rang, Reeti, Riwaaz se,
Ha Pyar hai mujhe tere Preet Ke Andaaz se,
Ha Pyar hai mujhe Tumse,
Ha Pyar hai mujhe Tumse, Ya kahun ki Pyaar hai mujhe Apne hi Aap se..

21



  21