Waah re !Maan gaye tuhje aee zindgi
Kuch sikhane ki chaah mein
Dard se milvati hai
Apne liye nhi balki dusron ke liye jeena sikhati hai
Ek khushi ke liye soo baar rulati hai
Apno ko smjhne ka naya tarika sikhlati hai
Lamho ko jeene ka naya daanv bheejvati hai
Apno ke hi hathon ghaav dilvati hai
Ek baat smjhane ke liye ghatiya logon se milvati hai
Dukh ke baad sukh aana yeh baat sikhlati hai
Utar chdav ki nauka mein chdati hai
Jeene se lekar marne tak rulati hai
Waah re! Zindgi tu har mod par aajmati hai
Har roj apne naye rang dikhati hai
Or Mujhe ek nayi reet sikhati hai
Waah re! Zindgi tu har mod par aajmati hai
Mujhe har roz stati hai tu
Par mai bhi kamzor nhi
Waah re! Zindgi tu har mod par aajmati hai
Jahan pyar bhre doston se milvati hai
wahin dil todne wale logon se vasta krvati hai
Waah re! Zindgi tu kya kya krati hai
Kabhi aage toh kabhi peeche ki raah dikhlati hai
Par jo bhi tu karti hai
Manta hu tu sahi hi karti hai
Par fir bhi ek dar hai na man me
Vo har vaqt stata hai ki
Kahi kuch galat na ho
Zindagi tujh par poora vishwas hai
Ki kabhi galat rah nahi dikhaygi tu
Par vo khte hai na ki
Agar boora waqt bhi aata hai to
Acha bhi zaroor ayga
Bas mai ussi din ka intzaar karta hu
Itnaa ku tadpaati hai re tu zindagi
Mana tu khush nahi hai mujhse
Par us nanhe parivar ki to chinta kar
Us kaynath ki to surksha kar
Or aakhiri me mujhe tujh par vishwas hai ai zindagi
Ab to vo bhi chorkar chali gayi hai mujhe
Itna tadpaakar kya karegi tu
Mujhe abhi yaad aati hai uski
Vo ab bhi tadpaati hai mujhe
Par lagta hai ab sab sahi ho jyga
Mujhe teri zarorat hai zindagi
Usne to mujhe pyaar ki jgh zehar pila diya tha
Par ab mai bhi khamosh nahi rahunga
Waah re! Zindagi tu bahut tadpati hai
Tadpa-tadpa ke aage badhati hai.