Kehne ko to wo shaant se hai,
Thode chup se hai thode ekant se hai
Vaise to ghar hai bahut chota unka
Par uss ghar ke liye pure praant se hai.

Gussate to bahut hain mujhe samjhane ke liye
Firr khud ruthte hai manane ke liye
Haalki unme jeetne ka hunar to ab bhi bahut h
Par haar jaate hai mjhse, mjhe jeetane ke liye.

Mere khush rhne ki hamesha dua maangte hai
Meri khushi ke liye sara din bhaagte hai,
thakan iss umr me unhe bhi aati hai bahut
Par Mai so jaun chain se, wo sari raat jaagte hain.

Wo Kamate h mujhko khilane ke liye
Aksar Jagte hai mujhe sulane ke liye
Ye umr ka tagaza hai ya khwaishon ki maang
Chup chaap se rhte hai apna pyar jatane ke liye.

Meri duniya ki aan baan shaan hai papa
Mere andar ka ek gumaan hai papa
Karna to bhut chahta hu unke liye, unki trh
Par vaisa kar na paaunga itne mahaan hai papa.
Shubham Pathak

2



  2