Ik Firangi Sapna

Kahaani shuru hoti hai us waqt se jab

Maine pehli baar ek hawaijahaaz dekha tha

Aasman mein dekhoon main

ek oodan khatola

Baadalon ko cheerta woh do pankh aage ek gola

Baaz jaisi tez raftaar se hai udta

Is ehsaas ko mehsoos karte aankhein khuli rakhta

Dekhoon har pal har lamhaa bas ik firangi sapna

Dekhoon har pal har lamhaa bas ik firangi sapna

Raastein hain lambe aur

Baatein hain Itni gehri

Mere dil ko pass bulati

Yeh zulfein laal sunehri,

Thandi jaise ho pahadi shimla,

Nami jaise ho retila sahara,

Dekhoon har pal har lamhaa bas ik firangi sapna

Dekhoon har pal har lamhaa bas ik firangi sapna

Rangeele log Har taraf aur

Dhoondhoon Mera desi yaar

Gaaoon ab angrezi taraane

Yaad aayein woh gaane puraane

Aakhir yeh jeet hai ya haar

Iska nahin hoon main jaankaar

Soya hai wo rota bachcha apni maa ke daaman mein

Mei chalta hoon khwaab lekar uljhan ke is aalam mein

Dekha tha Maine

Bas ik firangi sapna

Dekha haan maine

Bas ik firangi sapna

Sapna, Firangi Sapna

Sapna, Firangi Sapna

1



  1