Capo - 4th Fret

(Am) Jise zindagi
(F) Dhoond rahi hai
(Am) Kya ye woh (F) makaam mera hai
(Am) Yahan chain se (F) bas ruk jaun
(Am) Kyun dil ye (F) mujhe kehta hai
(G) Jazbaat naye se mile hai
(G) Jane kya asar yeh hua hai
(F) Ek aas mili phir mujhko
(G) Jo qubool (E) kisi ne kya hai

(Am) Kisi shaayar ki ghazal
(F) Jo de rooh ko sukoon ke pal
(G) Koi mujhko yun mila hai
Jaise (Am) banjaare ko ghar
(Am) Main mausam ki sehar
(F) Ya sard mein dopahar
(G) Koi mujhko yun mila hai
Jaise (Am) banjare ko ghar

(C) Jaise koi kinaara
(Em) Deta ho sahara
Mujhe (F) wo mila (G) kisi mod (C) par
(C) Koi raat ka taara
(Em) Karta ho ujaala
(F) Waise hi roshan (G) kare woh (C) shehar

(E) Dard mere woh (Am) bhula hi gaya
Kuch (F) aisa asar (G) hua
(G) Jeena mujhe phir se wo sikha (Am) raha

(Am) Jaise baarish kar de tar
(F) Ya marham dard par
(G) Koi mujhko yun mila hai
Jaise (Am) banjare ko ghar
(Am) Main mausam ki sehar
(F) Ya sard mein dopahar
(G) Koi mujhko yun mila hai
Jaise (Am) banjare ko ghar

(C) Muskata ye chehara
(Em) Deta hai jo pehara
(F) Jaane chupata kya (G) dil ka (C) samandar
(C) Auron ko to hardam
(Em) Saya deta hai
Wo (F) dhup mein hai (G) khada khud (C) magar

(E) Chot lagi hai (Am) use phir kyun
(F) Mehsoos mujhe ho (G) raha hai
(G) Dil tu bata de kya hai iraada (Am) tera

(Am) Main parinda besabar
(F) Tha uda jo darbadar
(G) Koi mujhko yun mila hai
Jaise (Am) banjaare ko ghar
(Am) Main mausam ki sehar
(F) Ya sard mein dopahar
(G) Koi mujhko yun mila hai
Jaise (Am) banjare ko ghar

43



  43

Profile of Alok Gupta
Alok Gupta  •  8w  •  Reply
D/DU/
Profile of Fake Account 2.0
Fake Account 2.0  •  13w  •  Reply
D/DU/
Profile of Arnav Gaming
Arnav Gaming  •  26w  •  Reply
Strumming pattern ??
Profile of Suren Bubu
Suren Bubu  •  4y  •  Reply
Achcha chalta Hun duaon Mein Yad Rakhna
Profile of Nishant Manchanda
Nishant Manchanda  •  1y  •  Reply
ok bye
Profile of Rakshita Upadhyay
Rakshita Upadhyay  •  5y  •  Reply
hey you write very well.keep it up.please check my account and like my wrytups