Ek maa ki mamta ki koi seema nahi hoti, uske tyag
aur samarpan ki koi prashansa nahi hoti phir bhi
wo niswarth bhav se apne poor parivar ki seva karti hai.
Par Kya hum badle mein use itna dete hain?
Itna chodiye iska thoda ansh bhi nahi de pata hum.
Subah jaldi uthkar pati aur bacche ke liye khana banana, office aur school bhejna yahin tak to seemit reh gaya hai uska jeevan. Aur wo badle mein humse kya chahti hai? Rupay, aish aur aram

Ji nahi humara uske saath has kar bolna, uske saath do pal saath bethna kaam se phursat nikal
usko phone kar lena yahi usko khush rakhne ke liye kafi hai.
Aur waise bhi jis maa ne tumhe itni peeda seh kar nau maheenay tak kokh mein rakha use tum bhala
Kya de paoge. Ant mein yahi kahoonga:-

Khuda ka doosra roop hai maa,
Mamta ki gehri jheel hai maa.
Wo ghar kisi jannat se kum nahi,
Jis ghar mein khuda ki tarah pooji jati hai maa.

1



  1